PM modi ji duvara 31 december ko digital payment ko badhava dene ke liye BHIM application ko launch kiyaa tha aur aaj BHIM app india me android par itne kum samay me sabse jyada free download karne wala app ban gaya hai. bhim app UPI ke jariye turant paymet karne ki suvida deta hai.


bhim app kaise install kare


 BHIM APP kya hai


BHIM ka pura naam Bharat Interface for money hai. BHIM apne mobile phone ke madaym se fast, secure, wisvasniy cheshless bugtan karne ki ek pahal hai. BHIM dusare Unified Payment Interface (UPI) application aur bank account ke saath interoperable hai. BHIM app National Payment Corporation of India (NPCI) ne banaya hai. BHIM app india me bani hai aur desh ki seva ke liye samarpit hai.

BHIM APP active karne ke liye kya jaruri hai


Bank account hona chahiye aur bank me mobile number register hona chahiye.

Aap jis mobile me BHIM APP active karna chahate he us mobile me bank me  register mobile number ka sim install hona jaruri hai. Aisa karna jaruri hai qki APP install ke time ek message send hota hai aur wo massage bank me registar mobile number se hi send hona chahiye nahi to aapka  App active nahi ho paayega. 

Internet banking kya he aur Internet banking ko safe rakhne ke tips in hindi

Aapka mobile dual sim ka hai to aap bank me register mobile number ka sim pahle waale me install karke rakhe.

BHIM APP ko kaise install kare



Step 1 : Sabse pahle aapko google play store open karna hai.





Step 2 : Uske baad aapko search me BHIM APP search karna hai. search karne ke baad bahut si BHIM naam ki app dikhane ko milegi par aapko BHIM ki sahi APP hi install karni. Sahi APP ki photo niche dekh sakte hai.





Step 3 : App install karne ke baad bhim app ko open kare.






Step 4 : Uske baad aapko Engalish aur hindi me se koi bhi ek bhasha(languese) pasand karni hai.





Step 5 :Welcome to bhim app ka page aapko dikhay dega uske niche right side me Next button me click karna hai.





Step 6 : Uske baad aapko secure, simple surerfast ka page dikhay uske niche right side pe next ka button he uspe click karna hai




Step 7 : Uske baad Allow us to Access page open hoga usme aapko  Let's get started  par click karna hai




Step 8 : Uske baad aapko verify mobile number pasand karna hai.




 Isme aapko apne bank me register mobile number se hi massege send karne ke liye upyog karna he nahi to aapka registration pura nahi hoga. 

Aur haa, ager aapka mobile ka  Android os version 5.1 ke niche ka hai to aap jis number se message bejna chahte ho wo primary sim me install karke rakhe. android os 5.1 ke niche ke version me message send ke liye sim selecet ka option nahi aata automatic message send ho jata hai. ager aapka mobile ka os version 5.1 ke uper ka hai to aap primary yaa secondary me sim install kar sakte ho 

STEP 9 : Mobile number verify ke baad agla step aapka  passcode select karne ka hai aur uske baad conform bhi karna hai. Is passcode ka upyog aap application me login hone ke liye karna hai.





Step 10 : Uske baad aapko select bank ka page open hoga usme bank ki list dekhai degi usme se aapka jis bank me account he us bank ko select karna hai.




Uske baad aapke mobile se jude sabhi bank account screen par dekhane ko milenge. Usme se aapko jis account ka upyog online transiction ke liye karna chahte ho wo pasnad kar sakte ho.

Step 12 :Uske baad new set upi page opne hoga usme aapke bank account ke debit card ke last ke 6 digit enter karna hai aur velidity date enter karni hai. uske baad true ke nisan par click kar de.




Step 13 :Aapka agala step UPI PIN pasand karne ka hai usme aap koi bhi 6 digit enter karke pin pasand kar sakte ho.


NOTE : BHIM app se transaction karne ke liye is pin ka upyog karna hai. isliye is pin ko gupt rakhe aur kisi ko na bataaye.


STEP 14 : Ab aapka BHIM APP online paise ke lenden ke liye ready hai.


To aap log samaj hi gaye honge BHIM app install karne ki aur active karne ke prakiya ke baare me ab hum BHIM app ko support karne waali bank ki list dekhate hai.  

BHIM app ko kon kon si bank  support karti hai uski list



Allahabad bank
Andhra bank
Axis bank
bank of baroda
bank of india 
bank of maharashtra 
canara bank
catholic syrian bank
central bank of india
dcb bank, dena bank
federal bank
HDFC bank
ICICI bank
IDBI bank 
IDFC bank 
indian bank 
indian overseas bank 
INDUSIND bank
Karnataka bank
karur vysya bank
kotak mahindra bank 
oriental bank, 
panjab netional bank 
RBL
south indian bank 
standardchartered 
state bank of india
syndicate bank
TJSB 
UCO bank
Union bank of india
United bank of india 
vijaya bank
Yes bank

 BHIM app se kya kya kar suvidha deta hai


Aap apne bank balance aur transaction ki details check kar sakte hai.

Aap BHIM app se payment ko send, receive aur request kar sakte hai.

Aap dusro ko payment 2 tarike se send kar sakte hai mobile number pe aur dusara bank details pe.  Bank details me account number aur IFSC code etc ki jarurat padti hai.

Aap apne mobile number ko hi custam payment Address bana sakte hai.

BHIM aap se aap ek time me jyada se jyada 10,000 tak transaction kar sakte aur 24 gante me 20,000 tak ka transaction kar sakte hai.


Internet ke bina bhi aap aapne mobile se USSD code *99# dial karke BHIM app ko  operate kar sakte hai.














Aapko BHIM app ke baare me jo jankari  di hai usko lekar aapke man me koi sawala ho to aap comment karke puchh sakte hai. aur aapko article pasnd aaya hai to share kar na na bhule aur iske baare me apne dosto ko bhi bataye. 



Thank you........ ðŸ˜ƒ