Hello dosto aaj mai aapko is article me gmail account me security checkup kaise karte hai aur ise apke gmail account ko safe karne me kaise help karta hai iske baare me bataunga.

google-gmail-account-security-checkup


Ise pahle bhi maine gmail account ko hack hone se bachane ke liye otp active kaise karte hai uske baare me bataya tha ager aapne wo article nahi padha he to abhi padhe gmail me otp kaise active kare Gmail account me security check kaise kare iske baare me jaane se pahle ye jaan lete hai ki ise aapke gmail account hack hone se rokane me kaise help milti hai.


Security check up aapke gmail account ko hack hone se bachane me kaise help karta hai


Aapka gmail account hack huva he yaa nahi ye pata lagane ke liye hi gmail service provider ne gmail me security check up  tools add kiya hai.
Aap security checkup ke tools me apne gmail account ki activity dekh sakte hai jaise ki aapke account ke recovery mobile number, aapne account kis device me kab aur kanha active huva hai aur aapke account me kya kya change kiya hai etc ke baare me aap is tools se pata kar sakte hai.
Ager aapne ye sab activity ki hai to koi baat nahi aur ye activity aapne nahi ki hai to aap apne account ka password badal de aur gmail ki service provider jo google hai usko iske baare me jaankari de sakte hai.


Is tools ka maine kaam aapka account hack to nahi ho gay ye pata lagana hai. to aap log samj hi gaye honge ki ye tools aapke account ko hack hone se kaise rokte hai. Ab baat karte hai isko check kaise karte hai.

Gmail account me security check up kaise kare


Security check up karne ke liye niche ke step dekhe :

Step 1 :  Sabse pahle apne gmail account me login kare


Step 2 : Uske baad apps par click karke my account par click kare.


Step 3 : Uske baad new window open hogi usme security checkup me get started par click kare aap niche ke photo me dekh sakte hai.

Step 4 : Uske baad dusara page opne hoga Time of security checkup ka usme  check your recovery information dekhe.

Jaisa aapko photo me dekha hai waise hi aapko apne gmail account ko recover karne ka aapka mobile number aur email id dekhega. Par haa ager aapne apne gmail account me dusara email id recovery ke liye add kiya he tabhi email id dekhega nahi to sirf aapka mobile number hi dekhega. Details sahi hai to aap Done pe click kar de.

Step 5 : Useke baad dusara page open hoga check your recently events ka page  usme aapko apne account me kya kya activity huvi hai yaa apke account me kya kya change kiya gaya hai iski jankari hogi wo aap check kar sakate hai

Ager ye saari activity aapne ki hai to looks good par click kare ager ye activity aapne nahi ki hai to something looks wrong par click kare.

Step 6 : Uske baad check your connected device dekhe isme aapko apne account kis device me active huva hai yaani login kiya gaya hai iski jaankari milti hai.

Ager  aapne  jo device dekhaya hai usme login kiya hai to looks good par click kare aur jo device dekhaya hai usme login nahi kiya hai to something looks wrong par click kare.

Step 7 : Agla page nicely done you’r all set ka opne hoga usme continue par click kare.

Ab aapka gmail account ka security check up complate ho chuka hai.





Me ummid karta hoon ki aapko gmail account ka security checkup ka article pasand aaya hai to share jarur kare aur aapke mann me koi sawal ho to comment kar ke puch sakte ho. 

Thank you….